Ranchi – The City of Waterfalls
Ranchi, often called the ‘City of Waterfalls’, is a place where prokriti and modern lifestyle blend beautifully. Surrounded by hills, lakes, and lush greenery, the city offers a peaceful escape while still being a growing urban hub. With its pleasant weather and natural charm, Ranchi has become a favorite destination for tourists seeking both spiritual solace and adventure.
Jagannath Mandir
Jagannath Mandir, 17th century mein King Jagannathpur Thakur ne banwaya tha. Ye temple ek chhota replica hai Odisha ke famous Puri Jagannath Mandir ka. Hilltop par bana ye mandir se pura Ranchi city ka panoramic view dekhne ko milta hai. Har saal jo Rath Yatra hoti hai, usme bhakt dur-dur se aate hain. Bengali devotees ke liye bhi ye place kaafi special hai, kyunki Jagannath culture Bengal aur Odisha dono me deeply rooted hai. Rath Yatra ke time ye pura area ekदम festive aur spiritual ho jata hai – bhakti, gaana, bajana aur ek alag hi anubhav.
Tagore Hill
Tagore Hill ka naam pada Rabindranath Tagore ke naam par, Nobel Laureate aur Bengali pride. Ye hill unke elder brother Jyotirindranath Tagore ke saath associated hai. Hilltop par jaake sunset dekhna ekदम magical lagta hai – sky turns orange, hawa thandi aur shanti ka ek alag hi ehsaas. Literature aur history lovers ke liye ye ek peaceful retreat hai. Bengalis ke liye toh ye aur bhi emotional connection hai, kyunki Tagore family ke naam se jude hue iss jagah par jaake unke writings aur thoughts ko feel kiya ja sakta hai.
Pahari Mandir
Ye mandir Lord Shiva ko dedicated hai. Ranchi city se 300 feet high ek pahaad par bana hai. Devotees ko lagbhag 400 steps chadhkar mandir tak pahuchna padta hai. Upar pahunchkar jo feeling aati hai – ek taraf Shivji ki bhakti aur dusri taraf Ranchi city ka breathtaking view. Bengali culture me Shiva ki pooja kaafi deep hai, aur yahan aake Bol Bom aur Har Har Mahadev ki goonj dil ko ekdum divine kar deti hai. Sawan mahine me toh yeh mandir bhakton se bhar jata hai, ek mela jaisa mahol hota hai.
